shab ko jagna din ko sona tere nam
shab ko jāgnā din ko sonā tere naam
ḳhvāboñ ko palkoñ meñ pironā tere naam
tanhā.ī ho yā sannāTā tere liye
ruuh kā paara jism kā sonā tere naam
apne-parā.e ġham haiñ hazāroñ dil hai ek
kuuze meñ dariyā ko samonā tere naam
yūñhī kyā kam bojh thā tan kī miTTī kā
man kī chādar ġham se bhigonā tere naam
tujh ko dekh ke ġhair ko dekhūñ nā-mumkin
sūīyāñ āñkhoñ meñ chubhonā tere naam
mere liye hai ism-e-ā'zam naam tirā
apne naam se vahshat honā tere naam
rāh-e-talab meñ hosh nahīñ hai sajdoñ kā
samtoñ kā ehsās bhī khonā tere naam
qatl bhī maiñ qātil bhī maiñ maqtūl bhī maiñ
haath apne hī ḳhuun se dhonā tere naam
shab ko jagna din ko sona tere nam
KHwabon ko palkon mein pirona tere nam
tanhai ho ya sannaTa tere liye
ruh ka para jism ka sona tere nam
apne-parae gham hain hazaron dil hai ek
kuze mein dariya ko samona tere nam
yunhi kya kam bojh tha tan ki miTTi ka
man ki chadar gham se bhigona tere nam
tujh ko dekh ke ghair ko dekhun na-mumkin
suiyan aankhon mein chubhona tere nam
mere liye hai ism-e-a'zam nam tera
apne nam se wahshat hona tere nam
rah-e-talab mein hosh nahin hai sajdon ka
samton ka ehsas bhi khona tere nam
qatl bhi main qatil bhi main maqtul bhi main
hath apne hi KHun se dhona tere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.