shab mein jo zulf ruKH pe bikhar kar simaT gai
shab meñ jo zulf ruḳh pe bikhar kar simaT ga.ī
vo nuur ban ke din ke ujāle meñ baT ga.ī
itnī hasīn aa.ī na aa.egī umr bhar
ik tere intizār meñ jo umr kaT ga.ī
khoyā huā thā tere tasavvur meñ jis ghaḌī
tārīkī jitnī zehn pe chhā.ī thī chhaT ga.ī
hoñToñ pe raqs kartā rahā naam jab tirā
har kāmyābī baḌh ke qadam se lipaT ga.ī
samjhūñ to kaise samjhūñ maiñ raftār-e-zindagī
tezī se baḌhtī baḌhtī rahī phir simaT ga.ī
āñkhoñ meñ merī tuur kā manzar thā ai 'shafīq'
jab āshiqī naqāb ulaT kar lipaT ga.ī
shab mein jo zulf ruKH pe bikhar kar simaT gai
wo nur ban ke din ke ujale mein baT gai
itni hasin aai na aaegi umr bhar
ek tere intizar mein jo umr kaT gai
khoya hua tha tere tasawwur mein jis ghaDi
tariki jitni zehn pe chhai thi chhaT gai
honTon pe raqs karta raha nam jab tera
har kaamyabi baDh ke qadam se lipaT gai
samjhun to kaise samjhun main raftar-e-zindagi
tezi se baDhti baDhti rahi phir simaT gai
aankhon mein meri tur ka manzar tha ai 'shafiq'
jab aashiqi naqab ulaT kar lipaT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.