Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab ne kya khol diye apne mahakte gesu

Athar Aziz

shab ne kya khol diye apne mahakte gesu

Athar Aziz

MORE BYAthar Aziz

    shab ne kyā khol diye apne mahakte gesū

    phir se yādoñ ke bahakne lage pāgal jugnū

    kuchh ta.ajjub nahīñ ruk jaa.e havā dhaḌkan

    kohr kohr hai phailī huī ab to har-sū

    muddatoñ pahle kabhī barse the dil par patthar

    aaj tak dīda-e-ehsās se bahtā hai lahū

    āriz-e-shab pe jhalaktī hai yuuñ tāroñ laḌī

    jaise tanhā.ī āñkhoñ meñ ḳhushī ke aañsū

    dasht-e-taḳh.īl vo sahrā-e-junūñ hai 'at.har'

    sirf lafzoñ jahāñ chal nahīñ saktā jaadū

    shab ne kya khol diye apne mahakte gesu

    phir se yaadon ke bahakne lage pagal jugnu

    kuchh tajjub nahin ruk jae hawa ki dhaDkan

    kohr si kohr hai phaili hui ab to har-su

    muddaton pahle kabhi barse the dil par patthar

    aaj tak dida-e-ehsas se bahta hai lahu

    aariz-e-shab pe jhalakti hai yun taron ki laDi

    jaise tanhai ki aankhon mein KHushi ke aansu

    dasht-e-taKHil wo sahra-e-junun hai 'athar'

    sirf lafzon ka jahan chal nahin sakta jadu

    Source:

    Silsila-e-Sood-o-Ziyan (Pg. 47)

    • Author: Athar Aziz
      • Publisher: Adshot Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now