Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui

Fani Badayuni

shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    shabāb-e-hosh ki fil-jumla yādgār huī

    jo 'umr sarf-e-tamāshā-e-husn-e-yār huī

    hisāb-e-hasrat-e-jurm-e-nazzāra dil se pūchh

    nazar to ek jhalak gunāh-gār huī

    bisāt-e-ijz meñ ik aah thī matā'-e-hayāt

    so vo bhī sarf-e-sitam-hā-e-rozgār huī

    ba-qadr-e-hasti-e-dil hai ḳhumār-e-ġham badnām

    ḳhizāñ ḳharāb ba-andāza-e-bahār huī

    nahīñ ki aah meñ tāsīr nahīñ lekin

    ye dil-figār kabhī āsmāñ-figār huī

    karam hai raaz umīd-e-karam hastī

    umiid tere karam umīd-vār huī

    balā se hijr meñ jiine intihā to hai

    vo ek baar huī hazār baar huī

    azal meñ ḳhalq huī thī jo bijliyoñ ruuh

    tirī nigāh mirī jaan be-qarār huī

    mire vajūd hujjat mire 'adam dalīl

    vo ik nazar thī jo shāyad jigar ke paar huī

    bahār nazr-e-taġhāful huī ḳhizāñ Thahrī

    ḳhizāñ shahīd-e-tabassum huī bahār huī

    umīd-e-marg pe 'fānī' nisār kyā kiije

    vo zindagī ki huī bhī to musta.ār huī

    shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui

    jo 'umr sarf-e-tamasha-e-husn-e-yar hui

    hisab-e-hasrat-e-jurm-e-nazzara dil se puchh

    nazar to ek jhalak ki gunah-gar hui

    bisat-e-ijz mein ek aah thi mata'-e-hayat

    so wo bhi sarf-e-sitam-ha-e-rozgar hui

    ba-qadr-e-hasti-e-dil hai KHumar-e-gham badnam

    KHizan KHarab ba-andaza-e-bahaar hui

    nahin ki aah mein tasir hi nahin lekin

    ye dil-figar kabhi aasman-figar hui

    karam hai raaz umid-e-karam ki hasti ka

    umid tere karam ki umid-war hui

    bala se hijr mein jine ki intiha to hai

    wo ek bar hui ya hazar bar hui

    azal mein KHalq hui thi jo bijliyon ki ruh

    teri nigah meri jaan be-qarar hui

    mere wajud ki hujjat mere 'adam ki dalil

    wo ek nazar thi jo shayad jigar ke par hui

    bahaar nazr-e-taghaful hui KHizan Thahri

    KHizan shahid-e-tabassum hui bahaar hui

    umid-e-marg pe 'fani' nisar kya kije

    wo zindagi ki hui bhi to mustaar hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now