aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabab us ka tha ek itr-dan ki KHushbu

Sajid Sajni Lakhnawi

shabab us ka tha ek itr-dan ki KHushbu

Sajid Sajni Lakhnawi

MORE BYSajid Sajni Lakhnawi

    shabāb us thā ik itr-dān ḳhushbū

    sameT laayā thā saare jahān ḳhushbū

    baḌhī jo umr to hālāt ne bhī ruḳh moḌā

    ab un se aane lagī daadā jaan ḳhushbū

    jo ik khañDar hai hamārī galī ke nukkaḌ par

    vahāñ se aatī hai ik ḳhāndān ḳhushbū

    ye raaz maiñ na samajh paa.ī aaj tak bhābī

    ki tum se aatī hai kyoñ bhaa.ī jaan ḳhushbū

    lipaT ke so ga.ī kal raat un ke siine se

    bhalī kuchh aisī lagī ammī jaan ḳhushbū

    jidhar bhī jaatī huuñ chehre haiñ jhurriyoñ vaale

    kahīñ se aatī nahīñ naujavān ḳhushbū

    shabab us ka tha ek itr-dan ki KHushbu

    sameT laya tha sare jahan ki KHushbu

    baDhi jo umr to haalat ne bhi ruKH moDa

    ab un se aane lagi dada jaan ki KHushbu

    jo ek khanDar hai hamari gali ke nukkaD par

    wahan se aati hai ek KHandan ki KHushbu

    ye raaz main na samajh pai aaj tak bhabi

    ki tum se aati hai kyon bhai jaan ki KHushbu

    lipaT ke so gai kal raat un ke sine se

    bhali kuchh aisi lagi ammi jaan ki KHushbu

    jidhar bhi jati hun chehre hain jhurriyon wale

    kahin se aati nahin naujawan ki KHushbu

    Source:

    Nigodiyat (Pg. 47)

    • Author: Sajid Sajni Lakhnawi
      • Publisher: Sajid Sajni Lakhnawi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now