Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao

Ali Sardar Jafri

shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    shaboñ zulf rū-e-sahar ḳhair manāo

    nigār-e-shams urūs-e-qamar ḳhair manāo

    sipāh-e-dushman-e-insāniyat qarīb aa.ī

    dayār-e-husn sar-e-rahguzar ḳhair manāo

    abhī to auroñ ke dīvār-o-dar pe yūrish thī

    ab apne sāya-e-dīvār-o-dar ḳhair manāo

    chalī hai ātish-o-āhan ke dil se bād-e-sumūm

    chaman ke jalva-e-gul-hā-e-tar ḳhair manāo

    guzar na jaa.e kahīñ bahr-o-bar se ḳhuun dhaar

    faroġh-e-shabnam-o-āb-o-guhar ḳhair manāo

    ye naf.a-ḳhoroñ dānish-farosh duniyā hai

    matā-e-ilm jins-e-hunar ḳhair manāo

    mire liye hai mirī muflisī-o-nāpākī

    tum apnī pākī-e-qalb-o-nazar ḳhair manāo

    shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao

    nigar-e-shams urus-e-qamar ki KHair manao

    sipah-e-dushman-e-insaniyat qarib aai

    dayar-e-husn sar-e-rahguzar ki KHair manao

    abhi to auron ke diwar-o-dar pe yurish thi

    ab apne saya-e-diwar-o-dar ki KHair manao

    chali hai aatish-o-ahan ke dil se baad-e-sumum

    chaman ke jalwa-e-gul-ha-e-tar ki KHair manao

    guzar na jae kahin bahr-o-bar se KHun ki dhaar

    farogh-e-shabnam-o-ab-o-guhar ki KHair manao

    ye nafa-KHoron ki danish-farosh duniya hai

    mata-e-ilm ki jins-e-hunar ki KHair manao

    mere liye hai meri muflisi-o-napaki

    tum apni paki-e-qalb-o-nazar ki KHair manao

    Source:

    Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 254)

    • Author: Ali Ahmad Fatmi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now