Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shagufta hote hi murjha gai kali afsos

Shad Lakhnavi

shagufta hote hi murjha gai kali afsos

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    shagufta hote murjhā ga.ī kalī afsos

    bahār-e-bāġh idhar aa.ī udhar ga.ī afsos

    ki tum aḳhīr bhī kahne na hāl-e-dil paa.e

    zabān band huī baat karte afsos

    isī bahāne se muñh dekhte hasīnoñ

    safā-e-dil na huī apnī aarsī afsos

    huzūr-e-qais pahan kar junūñ meñ kyā jaa.eñ

    qabā-e-tan hai sarāpā nuchī khuchī afsos

    vabāl-e-dosh rahā sar bhī nā-tavānī se

    milā na koī hameñ teġh dhanī afsos

    nazar se gir ke ye dil-e-ġham huā kahīñ na milā

    junūñ meñ ḳhaak bhī chhānī galī galī afsos

    vo kushtanī haiñ jo maahī bhes bhī badlā

    halāl ho ga.e machhlī se bhī chhurī afsos

    mazār-e-qais pe aa.ī na ek laila kyā

    kisī ne baat na pūchhī ġharīb afsos

    barahnagī to marne pe ġham nahīñ lekin

    kafan khasūT se sharmindagī huī afsos

    ḳhizāñ ke haath se rone hai ḳhanda-e-gul

    bisūrtī hai ye hañstī nahīñ kalī afsos

    kise sunā.eñ ye ham reḳhta zabāñ ai 'shād'

    janāb-e-'mīr' na 'mirzā' na 'mus.hafī' afsos

    shagufta hote hi murjha gai kali afsos

    bahaar-e-bagh idhar aai udhar gai afsos

    ki tum aKHir bhi kahne na haal-e-dil pae

    zaban band hui baat karte hi afsos

    isi bahane se munh dekhte hasinon ka

    safa-e-dil na hui apni aarsi afsos

    huzur-e-qais pahan kar junun mein kya jaen

    qaba-e-tan hai sarapa nuchi khuchi afsos

    wabaal-e-dosh raha sar bhi na-tawani se

    mila na koi hamein tegh ka dhani afsos

    nazar se gir ke ye dil-e-gham hua kahin na mila

    junun mein KHak bhi chhani gali gali afsos

    wo kushtani hain jo mahi ka bhes bhi badla

    halal ho gae machhli se bhi chhuri afsos

    mazar-e-qais pe aai na ek laila kya

    kisi ne baat na puchhi gharib ki afsos

    barahnagi ka to marne pe gham nahin lekin

    kafan khasuT se sharmindagi hui afsos

    KHizan ke hath se rone ki ja hai KHanda-e-gul

    bisurti hai ye hansti nahin kali afsos

    kise sunaen ye hum reKHta zaban ai 'shad'

    janab-e-'mir' na 'mirza' na 'mushafi' afsos

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now