Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shah-e-rag se bhi tu qarib hai tera ye karam hai kamal hai

Shamsa Najm

shah-e-rag se bhi tu qarib hai tera ye karam hai kamal hai

Shamsa Najm

MORE BYShamsa Najm

    shah-e-rag se bhī qarīb hai tirā ye karam hai kamāl hai

    ye jo ḳhaak meñ bhī hai raushnī tirā aks-e-rū-e-jamāl hai

    ise chāhatoñ kahūñ asar ki saath mere hai har Dagar

    tujhe zarre zarre hai ḳhabar ki aap apnī misāl hai

    mirī ḳhaak kyā mirī zaat kyā mirā 'aks tak hai finā-sifat

    tire tāj-e-shāhī baat kyā na fanā use na zavāl hai

    ye jo 'āshiqī hai rahguzar hai bahut kaThin mire ham-safar

    na rakheñ sambhal ke qadam agar chale vaqt ulTī chaal hai

    tire qurb meñ bhī haiñ dūriyāñ tirā kuchh 'ajab sulūk hai

    vo sukūñ jo thā tire qurb meñ vahī aaj ḳhvāb-o-ḳhayāl hai

    vo rafīq kitnā badal gayā na kare hai zikr kabhī mirā

    use kyā huā use kyā huā mire zehn meñ ye savāl hai

    vo sharārteñ vahī shoḳhiyāñ mire ahd-e-tifl ke qahqahe

    kahīñ kho ga.e mire rāt-din isī baat to malāl hai

    vo Darī Darī mohabbateñ ki haiñ yaad mujh ko vo sā.ateñ

    vo jo chāhatoñ meñ thiiñ lazzateñ vo ḳhayāl-e-jāñ vabāl hai

    usī chārāgar talāsh hai kare manziloñ ko jo rū-ba-rū

    usī rahnumā hai justujū usī rāhbar savāl hai

    thiiñ jo qurbateñ bane fāsle vo kahāñ haiñ pahle se silsile

    nahīñ sahl 'ishq ke marhale tire ā.īne meñ jo baal hai

    koī ḳhvāb hai ki gumān hai ye jo zikr-e-kaun-o-makān hai

    jo ye 'shamsa' husn-e-bayān hai tire rab baḳhshā kamāl hai

    shah-e-rag se bhi tu qarib hai tera ye karam hai kamal hai

    ye jo KHak mein bhi hai raushni tera aks-e-ru-e-jamal hai

    ise chahaton ka kahun asar ki tu sath mere hai har Dagar

    tujhe zarre zarre ki hai KHabar ki tu aap apni misal hai

    meri KHak kya meri zat kya mera 'aks tak hai fina-sifat

    tere taj-e-shahi ki baat kya na fana use na zawal hai

    ye jo 'ashiqi ki hai rahguzar hai bahut kaThin mere ham-safar

    na rakhen sambhal ke qadam agar chale waqt ulTi hi chaal hai

    tere qurb mein bhi hain duriyan tera kuchh 'ajab sa suluk hai

    wo sukun jo tha tere qurb mein wahi aaj KHwab-o-KHayal hai

    wo rafiq kitna badal gaya na kare hai zikr kabhi mera

    use kya hua use kya hua mere zehn mein ye sawal hai

    wo shararten wahi shoKHiyan mere ahd-e-tifl ke qahqahe

    kahin kho gae mere raat-din isi baat ka to malal hai

    wo Dari Dari si mohabbaten ki hain yaad mujh ko wo saaten

    wo jo chahaton mein thin lazzaten wo KHayal-e-jaan ka wabaal hai

    usi chaaragar ki talash hai kare manzilon ko jo ru-ba-ru

    usi rahnuma ki hai justuju usi rahbar ka sawal hai

    thin jo qurbaten bane fasle wo kahan hain pahle se silsile

    nahin sahl 'ishq ke marhale tere aaine mein jo baal hai

    koi KHwab hai ki guman hai ye jo zikr-e-kaun-o-makan hai

    jo ye 'shamsa' husn-e-bayan hai tere rab ka baKHsha kamal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now