Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr ka shahr jala aur ujala na hua

Akhtar Madhupuri

shahr ka shahr jala aur ujala na hua

Akhtar Madhupuri

MORE BYAkhtar Madhupuri

    shahr shahr jalā aur ujālā na huā

    sāneha kyā ye muqaddar nirālā na huā

    hai faqat naam ko āzādī-e-izhār-e-ḳhayāl

    varna kab kis ke laboñ par yahāñ taalā na huā

    TūTte shīshe ko dekhā hai zamāne bhar ne

    dil ke TukḌoñ koī dekhne vaalā na huā

    jis ne parkhā unheñ vo thī koī be-jān machine

    dil ke zaḳhmoñ bashar dekhne vaalā na huā

    kis qadar yās-zada hai ye hisār-e-zulmat

    dil jalā.e bhī to har samt ujālā na huā

    dasht-e-ġhurbat ke safar ye aziyyat-nākī

    ḳhushk talvoñ abhī ek bhī chhālā na huā

    zabt had se guzar jaanā yahī hai 'aḳhtar'

    dil sulagtā hai magar hoñToñ pe naala na huā

    shahr ka shahr jala aur ujala na hua

    saneha kya ye muqaddar ka nirala na hua

    hai faqat nam ko aazadi-e-izhaar-e-KHayal

    warna kab kis ke labon par yahan tala na hua

    TuTte shishe ko dekha hai zamane bhar ne

    dil ke TukDon ka koi dekhne wala na hua

    jis ne parkha unhen wo thi koi be-jaan machine

    dil ke zaKHmon ka bashar dekhne wala na hua

    kis qadar yas-zada hai ye hisar-e-zulmat

    dil jalae bhi to har samt ujala na hua

    dasht-e-ghurbat ke safar ki ye aziyyat-naki

    KHushk talwon ka abhi ek bhi chhaala na hua

    zabt ka had se guzar jaana yahi hai 'aKHtar'

    dil sulagta hai magar honTon pe nala na hua

    Source:

    Barq-o-Sharar (Pg. 11)

    • Author: Akhtar Madhupuri
      • Publisher: Mohammad Inam-ul-Haq Inam
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now