Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahidon ka tere shohra zamin se aasman tak hai

Urooj Qadri

shahidon ka tere shohra zamin se aasman tak hai

Urooj Qadri

MORE BYUrooj Qadri

    shahīdoñ tire shohra zamīñ se āsmāñ tak hai

    falak se balki aage baḌh ke tere āstāñ tak hai

    jamāl-e-jāñ-fizā un ke dilkash dil-rubā jalva

    zamīñ se āsmāñ tak hai makāñ se lā-makāñ tak hai

    raheñ sab mutma.in gulshan meñ apne āshiyānoñ se

    ki jaulāñ-gāh bijlī hamāre āshiyāñ tak hai

    nasīhat par amal ḳhud bhī to karnā chāhiye vaa.iz

    asar kyā ho ki terā va.az to nok-e-zabāñ tak hai

    musalmānī faqat tasbīh-ḳhvānī nahīñ hamdam

    musalmānī lambā haath shamshīr-o-sināñ tak hai

    buḌhāpā fikr par aa.e to nakbat saath aatī hai

    taraqqī aur azmat qaum fikr-e-javāñ tak hai

    faqat duniyā us guuñj halqa nahīñ hargiz

    tirī hamd-o-sanā guuñj gulzār-e-jināñ tak hai

    maiñ huuñ paiġhām-e-haq islām merā nām-e-nāmī hai

    jahāñ tak hai ye duniyā merā halqa bhī vahāñ tak hai

    vahī alfāz haiñ mauzūñ agar hoñ sher hote meñ

    haqīqat shā.irī ke fan bas husn-e-bayāñ tak hai

    tavīl itnī hai zanjīr-e-asīrī is zamāne meñ

    ki hāzir qaid-ḳhāne meñ ‘urūj’-e-nā-tavāñ tak hai

    shahidon ka tere shohra zamin se aasman tak hai

    falak se balki aage baDh ke tere aastan tak hai

    jamal-e-jaan-fiza ka un ke dilkash dil-ruba jalwa

    zamin se aasman tak hai makan se la-makan tak hai

    rahen sab mutmain gulshan mein apne aashiyanon se

    ki jaulan-gah bijli ki hamare aashiyan tak hai

    nasihat par amal KHud bhi to karna chahiye waiz

    asar kya ho ki tera waz to nok-e-zaban tak hai

    musalmani faqat tasbih-KHwani hi nahin hamdam

    musalmani ka lamba hath shamshir-o-sinan tak hai

    buDhapa fikr par aae to nakbat sath aati hai

    taraqqi aur azmat qaum ki fikr-e-jawan tak hai

    faqat duniya hi us ki gunj ka halqa nahin hargiz

    teri hamd-o-sana ki gunj gulzar-e-jinan tak hai

    main hun paigham-e-haq islam mera nam-e-nami hai

    jahan tak hai ye duniya mera halqa bhi wahan tak hai

    wahi alfaz hain mauzun agar hon sher hote mein

    haqiqat shairi ke fan ki bas husn-e-bayan tak hai

    tawil itni hai zanjir-e-asiri is zamane mein

    ki hazir qaid-KHane mein ‘uruj’-e-na-tawan tak hai

    Source:

    Tohfa-e-Zindan (Pg. 86)

    • Author: Urooj Qadri
      • Publisher: Markazi Maktaba Islami Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now