aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi

Sarfraz Danish

shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi

Sarfraz Danish

MORE BYSarfraz Danish

    shahr bhar ke ā.inoñ par ḳhaak Daalī jā.egī

    aaj phir sachchā.ī sūrat chhupā jā.egī

    us āñkhoñ meñ lapaktī aag hai behad shadīd

    sochtā huuñ ye qayāmat kaise Taalī jā.egī

    mushta.il kar degā us ko ik zarā ehtijāj

    mujh pe kyā guzrī hai is par ḳhaak Daalī jā.egī

    qaid ehsās bhī hogā na ham ko dosto

    yuuñ hamāre paañv meñ zanjīr Daalī jā.egī

    ai mohabbat lafz ban kar itnī sanjīda na ho

    ek din bhī kitāboñ se nikālī jā.egī

    sharm se ḳhurshīd apnā muñh chhupā legā kahīñ

    roz-e-raushan meñ bhī 'dānish' raat Dhā jā.egī

    shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi

    aaj phir sachchai ki surat chhupa li jaegi

    us ki aankhon mein lapakti aag hai behad shadid

    sochta hun ye qayamat kaise Tali jaegi

    mushtail kar dega us ko ek zara sa ehtijaj

    mujh pe kya guzri hai is par KHak Dali jaegi

    qaid ka ehsas bhi hoga na hum ko dosto

    yun hamare panw mein zanjir Dali jaegi

    ai mohabbat lafz ban kar itni sanjida na ho

    ek din tu bhi kitabon se nikali jaegi

    sharm se KHurshid apna munh chhupa lega kahin

    roz-e-raushan mein bhi 'danish' raat Dha li jaegi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now