shahr-e-dil be shabab hai kam hai
shahr-e-dil be shabāb hai kam hai
jitnī hālat ḳharāb hai kam hai
tujh ko siñgār kī zarūrat kyā
par ziyā ruḳh kitāb hai kam hai
us tajallī pe parda rakhne ko
ye jo ruḳh par hijāb hai kam hai
terī duniyā ke jo divāne haiñ
un kā ḳhāna-ḳharāb hai kam hai
ek ummīd dil kī hai mushkil
chashm qaid-e-sarāb hai kam hai
zindagī tujh pe kyoñ marā jaa.e
ye jo jiinā azaab hai kam hai
mai-kashī gar ilāj-e-ġham Thahrī
phir to jitnī sharāb hai kam hai
ik taḳh.īl se hī is dil kī
ye jo hālat ḳharāb hai kam hai
zabt kā ḳhud pe ajr hai lekin
jitnā us kā savāb hai kam hai
kar do masla hamāre lāshe kā
gar ye hukm-e-janāb hai kam hai
shahr kī tīrgī miTāne ko
haath meñ āftāb hai kam hai
shahr-e-dil be shabab hai kam hai
jitni haalat KHarab hai kam hai
tujh ko singar ki zarurat kya
par ziya ruKH kitab hai kam hai
us tajalli pe parda rakhne ko
ye jo ruKH par hijab hai kam hai
teri duniya ke jo diwane hain
un ka KHana-KHarab hai kam hai
ek ummid dil ki hai mushkil
chashm qaid-e-sarab hai kam hai
zindagi tujh pe kyon mara jae
ye jo jina azab hai kam hai
mai-kashi gar ilaj-e-gham Thahri
phir to jitni sharab hai kam hai
ek taKHil se hi is dil ki
ye jo haalat KHarab hai kam hai
zabt ka KHud pe ajr hai lekin
jitna us ka sawab hai kam hai
kar do masla hamare lashe ka
gar ye hukm-e-janab hai kam hai
shahr ki tirgi miTane ko
hath mein aaftab hai kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.