Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-dil ujDa to barbaad hua kya kya kuchh

Mahmood-ul-Hasan

shahr-e-dil ujDa to barbaad hua kya kya kuchh

Mahmood-ul-Hasan

MORE BYMahmood-ul-Hasan

    shahr-e-dil ujḌā to barbād huā kyā kyā kuchh

    naqsh-bar-āb mānind miTā kyā kyā kuchh

    dard-e-dil kāhish-e-jāñ soz-e-darūñ dāġh-e-jigar

    be-talab terī ināyat se milā kyā kyā kuchh

    uff ye begāngī-o-tark-e-ta.alluq azaab

    ga.e ham bhī vafāoñ sila kyā kyā kuchh

    kaisā insāf hai ye kaisī adālat hai tirī

    hai nā-karda ḳhatāoñ sazā kyā kyā kuchh

    kab ḳhabar hotī hameñ kaun kahāñ se aayā

    kah gayā chupke se naqsh-e-kaf-e-pā kyā kyā kuchh

    rāhat-e-vasl mohabbat nasha dard-e-firāq

    tirī chāhat ne mirī jaan diyā kyā kyā kuchh

    lab tire kis liye iqrār-e-mohabbat karte

    aañkh kah ga.ī ai jān-e-vafā kyā kyā kuchh

    shahr-e-dil ujDa to barbaad hua kya kya kuchh

    naqsh-bar-ab ki manind miTa kya kya kuchh

    dard-e-dil kahish-e-jaan soz-e-darun dagh-e-jigar

    be-talab teri inayat se mila kya kya kuchh

    uff ye begangi-o-tark-e-talluq ka azab

    pa gae hum bhi wafaon ka sila kya kya kuchh

    kaisa insaf hai ye kaisi adalat hai teri

    di hai na-karda KHataon ki saza kya kya kuchh

    kab KHabar hoti hamein kaun kahan se aaya

    kah gaya chupke se naqsh-e-kaf-e-pa kya kya kuchh

    rahat-e-wasl mohabbat ka nasha dard-e-firaq

    teri chahat ne meri jaan diya kya kya kuchh

    lab tere kis liye iqrar-e-mohabbat karte

    aankh hi kah gai ai jaan-e-wafa kya kya kuchh

    Source:

    ©Chirag-e-shab-e-aakhir (Pg. 40)

    • Author: Mahmudul Hasan
      • Edition: 2016
      • Publisher: Mahmudul Hasan
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now