Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-mazlum mein ek shaKHs bhi barham na mila

Mohammad Sharfuddin Sahil

shahr-e-mazlum mein ek shaKHs bhi barham na mila

Mohammad Sharfuddin Sahil

MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil

    shahr-e-mazlūm meñ ik shaḳhs bhī barham na milā

    ḳhauf itnā thā koī paikar-e-mātam na milā

    maan luuñ kaise khilegā gul-e-ummīd mirā

    barg-e-ulfat pe mujhe qatra-e-shabnam na milā

    jo mire zaḳhm-e-aziyyat mudāvā kartā

    chārāgar thak ga.e aisā koī marham na milā

    shikva-e-gardish-e-hālāt se hāsil kyā hai

    dast-e-taqdīr se jo kuchh bhī milā kam na milā

    kaT ga.ī 'umr isī ek tajassus meñ mirī

    bazm-e-ālam meñ kahīñ amn 'ālam na milā

    bāġh-e-hastī mirā vīrān rahā hai daa.im

    zindagī bhar mujhe barsāt mausam na milā

    kaun kahtā hai girā ashk-e-nadāmat 'sāhil'

    zāhid-e-ḳhushk dāman to mujhe nam na milā

    shahr-e-mazlum mein ek shaKHs bhi barham na mila

    KHauf itna tha koi paikar-e-matam na mila

    man lun kaise khilega gul-e-ummid mera

    barg-e-ulfat pe mujhe qatra-e-shabnam na mila

    jo mere zaKHm-e-aziyyat ka mudawa karta

    chaaragar thak gae aisa koi marham na mila

    shikwa-e-gardish-e-haalat se hasil kya hai

    dast-e-taqdir se jo kuchh bhi mila kam na mila

    kaT gai 'umr isi ek tajassus mein meri

    bazm-e-alam mein kahin amn ka 'alam na mila

    bagh-e-hasti mera viran raha hai daim

    zindagi bhar mujhe barsat ka mausam na mila

    kaun kahta hai gira ashk-e-nadamat 'sahil'

    zahid-e-KHushk ka daman to mujhe nam na mila

    Source:

    Aaina-e-Timsal (Pg. 25)

    • Author: Mohammad Sharfuddin Sahil
      • Publisher: Aleem Printers, Nagpur
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now