shahr-e-ummid se kab koi sada aati hai
shahr-e-ummīd se kab koī sadā aatī hai
samt-e-sahrā se faqat garm havā aatī hai
is nadī ne to ka.ī 'ishq Dubā.e hoñge
is kī lahroñ se tabhī bū-e-hinā aatī hai
jab tujhe bhūlne baiTheñ to nazar chupke se
bādaloñ meñ tirī tasvīr banā aatī hai
dil to kahtā hai bulā luuñ maiñ qazā ko apnī
darmiyāñ roz magar merī anā aatī hai
zahr suqrāt ko ham phir se pilā deñ lekin
zahr pī kar use jiine kī adā aatī hai
qais par sang to pheñko ye magar yaad rahe
jis jagah 'ishq mare vaañ pe vabā aatī hai
ik darīcha hai jo khultā hai tumhārī jānib
hujra-e-qalb meñ yak-tarfa havā aatī hai
shahr-e-ummid se kab koi sada aati hai
samt-e-sahra se faqat garm hawa aati hai
is nadi ne to kai 'ishq Dubae honge
is ki lahron se tabhi bu-e-hina aati hai
jab tujhe bhulne baiThen to nazar chupke se
baadalon mein teri taswir bana aati hai
dil to kahta hai bula lun main qaza ko apni
darmiyan roz magar meri ana aati hai
zahr suqraat ko hum phir se pila den lekin
zahr pi kar use jine ki ada aati hai
qais par sang to phenko ye magar yaad rahe
jis jagah 'ishq mare wan pe waba aati hai
ek daricha hai jo khulta hai tumhaari jaanib
hujra-e-qalb mein yak-tarfa hawa aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.