Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa

Saqi Faruqi

shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    shahr shahr huā jaan pyāsā kaisā

    saañs letā hai mire sāmne sahrā kaisā

    mire ehsās meñ ye aag bharī hai kis ne

    raqs kartā hai mirī ruuh meñ shola kaisā

    terī parchhā.īñ huuñ nādān judā.ī kaisī

    merī āñkhoñ meñ phirā ḳhauf saaya kaisā

    apnī āñkhoñ pe tujhe itnā bharosā kyuuñ hai

    tere bīmār chale hai masīhā kaisā

    ye nahīñ yaad ki pahchān hamārī kyā hai

    ik tamāshe ke liye svāñg rachāyā kaisā

    mat phirī thī ki harīfāna chale duniyā se

    sochte ḳhaak ki mavvāj hai dariyā kaisā

    sub.h tak raat zanjīr pighal jā.egī

    log pāgal haiñ sitāroñ se ulajhnā kaisā

    dil ayyār hai be-vaj.h dhaḌak uThtā hai

    varna afsurda havāoñ meñ bulāvā kaisā

    aaj ḳhāmosh haiñ hañgāma uThāne vaale

    ham nahīñ haiñ to karāchī huā tanhā kaisā

    shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa

    sans leta hai mere samne sahra kaisa

    mere ehsas mein ye aag bhari hai kis ne

    raqs karta hai meri ruh mein shola kaisa

    teri parchhain hun nadan judai kaisi

    meri aankhon mein phira KHauf ka saya kaisa

    apni aankhon pe tujhe itna bharosa kyun hai

    tere bimar chale tu hai masiha kaisa

    ye nahin yaad ki pahchan hamari kya hai

    ek tamashe ke liye swang rachaya kaisa

    mat phiri thi ki harifana chale duniya se

    sochte KHak ki mawwaj hai dariya kaisa

    subh tak raat ki zanjir pighal jaegi

    log pagal hain sitaron se ulajhna kaisa

    dil hi ayyar hai be-wajh dhaDak uThta hai

    warna afsurda hawaon mein bulawa kaisa

    aaj KHamosh hain hangama uThane wale

    hum nahin hain to karachi hua tanha kaisa

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now