Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna

Saeed Akhtar

shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna

Saeed Akhtar

MORE BYSaeed Akhtar

    shahr ke fōtpath par kuchh chubhte manzar dekhnā

    sard rātoñ meñ kabhī ghar se nikal kar dekhnā

    ye samajh lo tishnagī daur sar par aa gayā

    raat ko ḳhvāboñ meñ rah rah kar samundar dekhnā

    kis ke hāthoñ meñ haiñ patthar kaun ḳhālī haath hai

    ye samajhne ke liye shīsha ban kar dekhnā

    be-hisī hai buz-dilī hai hausla-mandī nahīñ

    baiTh kar sāhil pe tūfānoñ ke tevar dekhnā

    ai mire āñgan ke saa.e ai mire phaldār peḌ

    terī qismat meñ hai ab patthar patthar dekhnā

    ye sitam ye shorisheñ tamhīd haiñ is baat

    bastī bastī har taraf ḳhuuñ samundar dekhnā

    shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna

    sard raaton mein kabhi ghar se nikal kar dekhna

    ye samajh lo tishnagi ka daur sar par aa gaya

    raat ko KHwabon mein rah rah kar samundar dekhna

    kis ke hathon mein hain patthar kaun KHali hath hai

    ye samajhne ke liye shisha sa ban kar dekhna

    be-hisi hai buz-dili hai hausla-mandi nahin

    baiTh kar sahil pe tufanon ke tewar dekhna

    ai mere aangan ke sae ai mere phaldar peD

    teri qismat mein hai ab patthar hi patthar dekhna

    ye sitam ye shorishen tamhid hain is baat ki

    basti basti har taraf KHun ka samundar dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now