Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr ki viraniyon se Dar gae

Rubi Jha

shahr ki viraniyon se Dar gae

Rubi Jha

MORE BYRubi Jha

    shahr vīrāniyoñ se Dar ga.e

    apnī tanhā.iyoñ se Dar ga.e

    chehre jin ke the in āñkhoñ sukūñ

    un parchhā.iyoñ se Dar ga.e

    ban ke nādāñ jab rahe aayā maza

    logoñ dānā.iyoñ se Dar ga.e

    ab se ham jazbāt meñ hoñge bayāñ

    qāfiya-paimā.iyoñ se Dar ga.e

    kare āñkhoñ pe paTTī bāñdh luuñ

    had-bañdhī bīnā.iyoñ se Dar ga.e

    ab hai chāhat ke sahrā meñ jalūñ

    mausamī purvā.iyoñ se Dar ga.e

    shahr ki viraniyon se Dar gae

    apni hi tanhaiyon se Dar gae

    chehre jin ke the in aankhon ka sukun

    un ki hi parchhaiyon se Dar gae

    ban ke nadan jab rahe aaya maza

    logon ki danaiyon se Dar gae

    ab se hum jazbaat mein honge bayan

    qafiya-paimaiyon se Dar gae

    ji kare aankhon pe paTTi bandh lun

    had-bandhi binaiyon se Dar gae

    ab hai chahat ja ke sahra mein jalun

    mausami purwaiyon se Dar gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now