shahr mein ban ke mohabbat ka gadagar mangun

R P Shokh

shahr mein ban ke mohabbat ka gadagar mangun

R P Shokh

MORE BYR P Shokh

  shahr meñ ban ke mohabbat gadāgar māñgūñ

  mujh ko māñge se mile vo to maiñ dar dar māñgūñ

  dahr daar pe jhūlūñ bhī to kaise jhūlūñ

  ġham-e-duniyā bhī tire qad ke barābar māñgūñ

  ik taraf dil ki tire ġham se ubhartā nahīñ

  ik taraf maiñ ki tirī diid gauhar māñgūñ

  terī yādoñ uḌāneñ bhī bahut ḳhuub magar

  dil ye kahtā hai tire lams shahpar māñgūñ

  zindagī merī hai kashkol-e-tahī sūrat

  us bhikārī se maiñ māñgūñ bhī to kyā zar māñgūñ

  ek patthar tirī rāhoñ se haTā huuñ jab se

  aaj ye haal ki har paañv se Thokar māñgūñ

  shahr mein ban ke mohabbat ka gadagar mangun

  mujh ko mange se mile wo to main dar dar mangun

  dahr ki dar pe jhulun bhi to kaise jhulun

  gham-e-duniya bhi tere qad ke barabar mangun

  ek taraf dil ki tere gham se ubharta hi nahin

  ek taraf main ki teri did ka gauhar mangun

  teri yaadon ki uDanen bhi bahut KHub magar

  dil ye kahta hai tere lams ka shahpar mangun

  zindagi meri hai kashkol-e-tahi ki surat

  us bhikari se main mangun bhi to kya zar mangun

  ek patthar teri rahon se haTa hun jab se

  aaj ye haal ki har panw se Thokar mangun

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY
  Speak Now