shahr mein ganw ke logon ki tarah rahte hain
shahr meñ gaañv ke logoñ kī tarah rahte haiñ
ham ki mā'sūm parindoñ kī tarah rahte haiñ
zulmat-e-shab meñ charāġhoñ ki tarah rahte haiñ
ham añdheroñ meñ ujāloñ kī tarah rahte haiñ
'aish-o-'ishrat meñ magan rahte ho tum to har dam
hukmrāñ vo jo faqīroñ kī tarah rahte haiñ
har ghaḌī aatī hai kirdār se ḳhush-bū jin ke
gulshan-e-hind meñ phūloñ kī tarah rahte haiñ
jin ke siine meñ hai be-laus mohabbat kī chamak
vo hī kuchh log ujāloñ kī tarah rahte haiñ
vaqt ke saath jo tabdīl nahīñ ho paate
apne logoñ meñ parāyoñ kī tarah rahte haiñ
chāhe āñgan meñ raheñ yā kisī sahrā meñ 'vasīm'
ham samar-dār daraḳhtoñ kī tarah rahte haiñ
shahr mein ganw ke logon ki tarah rahte hain
hum ki ma'sum parindon ki tarah rahte hain
zulmat-e-shab mein charaghon ki tarah rahte hain
hum andheron mein ujalon ki tarah rahte hain
'aish-o-'ishrat mein magan rahte ho tum to har dam
hukmran wo jo faqiron ki tarah rahte hain
har ghaDi aati hai kirdar se KHush-bu jin ke
gulshan-e-hind mein phulon ki tarah rahte hain
jin ke sine mein hai be-laus mohabbat ki chamak
wo hi kuchh log ujalon ki tarah rahte hain
waqt ke sath jo tabdil nahin ho pate
apne logon mein parayon ki tarah rahte hain
chahe aangan mein rahen ya kisi sahra mein 'wasim'
hum samar-dar daraKHton ki tarah rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.