Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr mein kaisa KHatar lagta hai

Shareef Ahmad Shareef

shahr mein kaisa KHatar lagta hai

Shareef Ahmad Shareef

MORE BYShareef Ahmad Shareef

    shahr meñ kaisā ḳhatar lagtā hai

    apne saa.e se bhī Dar lagtā hai

    aaj phir dil hai duā par maa.il

    band phir bāb-e-asar lagtā hai

    kuchh vaqār-e-dar-o-dīvār nahīñ

    ho makīñ ghar meñ to ghar lagtā hai

    āshiyāñ jis meñ parindoñ ke na hoñ

    kitnā tanhā vo shajar lagtā hai

    āsmāñ kitnā jhuk aayā hai 'sharīf'

    sar uThātā huuñ to sar lagtā hai

    shahr mein kaisa KHatar lagta hai

    apne sae se bhi Dar lagta hai

    aaj phir dil hai dua par mail

    band phir bab-e-asar lagta hai

    kuchh waqar-e-dar-o-diwar nahin

    ho makin ghar mein to ghar lagta hai

    aashiyan jis mein parindon ke na hon

    kitna tanha wo shajar lagta hai

    aasman kitna jhuk aaya hai 'sharif'

    sar uThata hun to sar lagta hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 679)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now