shahr mein tere mera koi shanasa bhi nahin

Sabir Barari

shahr mein tere mera koi shanasa bhi nahin

Sabir Barari

MORE BYSabir Barari

  shahr meñ tere mirā koī shanāsā bhī nahīñ

  kaun huuñ maiñ ye kisī shaḳhs ne pūchhā bhī nahīñ

  husn-e-maġhrūr ko āñkhoñ meñ basāyā bhī nahīñ

  hirs zahr mirī ruuh meñ utrā bhī nahīñ

  us yādoñ se munavvar huī dil duniyā

  chāñd aisā jo abhī abr se niklā bhī nahīñ

  apnī marzī se qafas ham ne chunā thā sayyād

  is liye tere sitam hameñ shikva bhī nahīñ

  daur-daura hai yahāñ jaur-o-jafā lekin

  dosto ahl-e-vafā shahr meñ anqā bhī nahīñ

  gulsitāñ kaise tujhe sauñp deñ ai dushman-e-gul

  is meñ shāmil to tire ḳhuun qatra bhī nahīñ

  nāḳhudā ġhair kashtī tujhe kyoñ ġham hai

  duur girdāb se kuchh terā safīna bhī nahīñ

  pārsā go ki nahīñ 'sābir'-e-ḳhasta lekin

  aap jaisā use samjhe haiñ to vaisā bhī nahīñ

  shahr mein tere mera koi shanasa bhi nahin

  kaun hun main ye kisi shaKHs ne puchha bhi nahin

  husn-e-maghrur ko aankhon mein basaya bhi nahin

  hirs ka zahr meri ruh mein utra bhi nahin

  us ki yaadon se munawwar hui dil ki duniya

  chand aisa jo abhi abr se nikla bhi nahin

  apni marzi se qafas hum ne chuna tha sayyaad

  is liye tere sitam ka hamein shikwa bhi nahin

  daur-daura hai yahan jaur-o-jafa ka lekin

  dosto ahl-e-wafa shahr mein anqa bhi nahin

  gulsitan kaise tujhe saunp den ai dushman-e-gul

  is mein shamil to tere KHun ka qatra bhi nahin

  naKHuda ghair ki kashti ka tujhe kyon gham hai

  dur girdab se kuchh tera safina bhi nahin

  parsa go ki nahin 'sabir'-e-KHasta lekin

  aap jaisa use samjhe hain to waisa bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY