Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu

Inamullah Khan Yaqeen

shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    shahr meñ thā na tire husn ye shor kabhū

    misr is jins se itnā na thā māmūr kabhū

    ishq meñ daad na chāho ki sunā ham ne nahīñ

    adl o insāf is mulk meñ dastūr kabhū

    fikr marham mire vāste mat kar nāseh

    ḳhuub hotā nahīñ is ishq nāsūr kabhū

    go na kar vaada vafā de na mujhe us javāb

    mujh se milnā bhī sajan hai tujhe manzūr kabhū

    apnī bedardī saugand hai tujh ko ai marg

    ne dekhā hai 'yaqīñ' koī ranjūr kabhū

    shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu

    misr is jins se itna na tha mamur kabhu

    ishq mein dad na chaho ki suna hum ne nahin

    adl o insaf ka is mulk mein dastur kabhu

    fikr marham ka mere waste mat kar naseh

    KHub hota nahin is ishq ka nasur kabhu

    go na kar wada wafa de na mujhe us ka jawab

    mujh se milna bhi sajan hai tujhe manzur kabhu

    apni bedardi ki saugand hai tujh ko ai marg

    tu ne dekha hai 'yaqin' sa koi ranjur kabhu

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now