shahron mein baDe qatil-o-jallad milenge
shahroñ meñ baḌe qātil-o-jallād mileñge
sahrā meñ chalo shīrīñ-o-farhād mileñge
nafrat kī dahaktī huī saḌkoñ ke badan par
ulfat ke sulagte hue shamshād mileñge
jin logoñ ne ābād kī duniyā-e-mohabbat
tum dekhnā vo log hī barbād mileñge
banjāre gunāhoñ ke thake haare kisī din
tauba ke hasīñ shahr meñ ābād mileñge
patthar ke jigar vaalo hameñ zid hai ki tum se
phir le ke mohabbat kī vo rūdād mileñge
sayyād ke sayyād bano aaj tum 'aḳhtar'
ab dasht meñ sayyād hī sayyād mileñge
shahron mein baDe qatil-o-jallad milenge
sahra mein chalo shirin-o-farhad milenge
nafrat ki dahakti hui saDkon ke badan par
ulfat ke sulagte hue shamshad milenge
jin logon ne aabaad ki duniya-e-mohabbat
tum dekhna wo log hi barbaad milenge
banjare gunahon ke thake haare kisi din
tauba ke hasin shahr mein aabaad milenge
patthar ke jigar walo hamein zid hai ki tum se
phir le ke mohabbat ki wo rudad milenge
sayyaad ke sayyaad bano aaj tum 'aKHtar'
ab dasht mein sayyaad hi sayyaad milenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.