Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaiKH o panDit dharm aur islam ki baaten karen

Hari Chand Akhtar

shaiKH o panDit dharm aur islam ki baaten karen

Hari Chand Akhtar

MORE BYHari Chand Akhtar

    shaiḳh o panDit dharm aur islām bāteñ kareñ

    kuchh ḳhudā ke qahr kuchh in.aam bāteñ kareñ

    yās-o-hirmān-o-ġham-o-ālām bāteñ kareñ

    aa dil-e-īzā-talab kuchh kaam bāteñ kareñ

    ye sunā.eñ paak naġhme avvalīñ ilhām ke

    vo ḳhudā ke āḳhirī paiġhām bāteñ kareñ

    ham khaḌe sunte raheñ aur dil meñ ye kahte raheñ

    ab ye ruḳhsat hoñ to ham kuchh kaam bāteñ kareñ

    dost se kah deñ dil-e-be-mudda.ā dāstāñ

    aaj saaqī se shikast-e-jām bāteñ kareñ

    umr bhar ahd-e-ulfat ik ḳhayāl-e-ḳhām thā

    aao lekin is ḳhayāl-e-ḳhām bāteñ kareñ

    zindagī be-shak tirā in.aam hai yā-rab magar

    sun sake to kuchh tire in.aam bāteñ kareñ

    shaiKH o panDit dharm aur islam ki baaten karen

    kuchh KHuda ke qahr kuchh inam ki baaten karen

    yas-o-hirman-o-gham-o-alam ki baaten karen

    aa dil-e-iza-talab kuchh kaam ki baaten karen

    ye sunaen pak naghme awwalin ilham ke

    wo KHuda ke aaKHiri paigham ki baaten karen

    hum khaDe sunte rahen aur dil mein ye kahte rahen

    ab ye ruKHsat hon to hum kuchh kaam ki baaten karen

    dost se kah den dil-e-be-muddaa ki dastan

    aaj saqi se shikast-e-jam ki baaten karen

    umr bhar ka ahd-e-ulfat ek KHayal-e-KHam tha

    aao lekin is KHayal-e-KHam ki baaten karen

    zindagi be-shak tera inam hai ya-rab magar

    sun sake to kuchh tere inam ki baaten karen

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 87)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now