karne do agar qattal jahan talwar ki baaten karte hain
karne do agar qattāl jahāñ talvār kī bāteñ karte haiñ
arzāñ nahīñ hotā un kā lahū jo pyaar kī bāteñ karte haiñ
ye 'aish-o-tarab ke matvāle be-kār kī bāteñ karte haiñ
paa.el ke ġhamoñ kā 'ilm nahīñ jhankār kī bāteñ karte haiñ
is zahr bharī duniyā meñ jinheñ apnā bhī maraz mā'lūm nahīñ
aksar vo ba-zo'm-e-chāra-garī bīmār kī bāteñ karte haiñ
nā-haq hai havas ke bandoñ ko nazzāra-e-fitrat kā dā'vā
āñkhoñ meñ nahīñ hai betābi dīdār kī bāteñ karte haiñ
ġham meñ bhī rahā ehsās-e-tarab dekho to hamārī zindānī
vīrāne meñ saarī 'umr kaTī gulzār kī bāteñ karte haiñ
andāza agar karnā ho kabhī kuchh tang-nazar insānoñ kā
hai un kī faqat pahchān yahī pindār kī bāteñ karte haiñ
be-naqd-e-amal jannat kī talab kyā shai haiñ janāb-e-vā'iz bhī
muTThī meñ nahīñ haiñ dām-o-diram bāzār kī bāteñ karte haiñ
kahte haiñ unhīñ ko dushman-e-dil hai naam inhīñ kā nāseh bhī
vo log jo rah kar sāhil par mañjdhār kī bāteñ karte haiñ
pahuñche haiñ jo apnī manzil par un ko to nahīñ kuchh nāz-e-safar
chalne kā jinheñ maqdūr nahīñ raftār kī bāteñ karte haiñ
ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'shakīl' un sab ke jigar
fāqoñ se haiñ dil murjhā.e hue dil-dār kī bāteñ karte haiñ
karne do agar qattal jahan talwar ki baaten karte hain
arzan nahin hota un ka lahu jo pyar ki baaten karte hain
ye 'aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain
pael ke ghamon ka 'ilm nahin jhankar ki baaten karte hain
is zahr bhari duniya mein jinhen apna bhi maraz ma'lum nahin
aksar wo ba-zo'm-e-chaara-gari bimar ki baaten karte hain
na-haq hai hawas ke bandon ko nazzara-e-fitrat ka da'wa
aankhon mein nahin hai betabi didar ki baaten karte hain
gham mein bhi raha ehsas-e-tarab dekho to hamari zindani
virane mein sari 'umr kaTi gulzar ki baaten karte hain
andaza agar karna ho kabhi kuchh tang-nazar insanon ka
hai un ki faqat pahchan yahi pindar ki baaten karte hain
be-naqd-e-amal jannat ki talab kya shai hain janab-e-wa'iz bhi
muTThi mein nahin hain dam-o-diram bazar ki baaten karte hain
kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai nam inhin ka naseh bhi
wo log jo rah kar sahil par manjdhaar ki baaten karte hain
pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naz-e-safar
chalne ka jinhen maqdur nahin raftar ki baaten karte hain
ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'shakil' un sab ke jigar
faqon se hain dil murjhae hue dil-dar ki baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.