shakl badli aur andar aa gaya
shakl badlī aur andar aa gayā
dukh na.e kapḌe badal kar aa gayā
us ne dekhā aur āñḳheñ pher liiñ
bojh sab merī nazar par aa gayā
rāste-bhar uub meñ Duube rahe
jab safar meñ dil lagā ghar aa gayā
is samundar ke the itne tazkire
maiñ na jaane kyā samajh kar aa gayā
maiñ to apne aap ko hāsil nahīñ
aap ko kaise mayassar aa gayā
shakl badli aur andar aa gaya
dukh nae kapDe badal kar aa gaya
us ne dekha aur aanKHen pher lin
bojh sab meri nazar par aa gaya
raste-bhar ub mein Dube rahe
jab safar mein dil laga ghar aa gaya
is samundar ke the itne tazkire
main na jaane kya samajh kar aa gaya
main to apne aap ko hasil nahin
aap ko kaise mayassar aa gaya
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 73)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.