shakl meri thi aur tha mera aaina
shakl merī thī aur thā mirā aa.ina
dard kis kā dikhātā rahā aa.ina
pahle bīnā.ī āñkhoñ ko baḳhshī ga.ī
baa'd us ke banāyā gayā aa.ina
jhāñknā chāhtī thī vo dil meñ mire
maiñ ne āñkhoñ ko apnī kiyā aa.ina
saath sūrat ke sīrat dikhātā hai ye
mujh se sach boltā hai mirā aa.ina
us ko jab bhī lagā mujh se behtar hai vo
sāmne us ke tab rakh diyā aa.ina
'aks merā mujhī ko dikhātā nahīñ
ho gayā mujh se kitnā ḳhafā aa.ina
shakl meri thi aur tha mera aaina
dard kis ka dikhata raha aaina
pahle binai aankhon ko baKHshi gai
ba'd us ke banaya gaya aaina
jhankna chahti thi wo dil mein mere
main ne aankhon ko apni kiya aaina
sath surat ke sirat dikhata hai ye
mujh se sach bolta hai mera aaina
us ko jab bhi laga mujh se behtar hai wo
samne us ke tab rakh diya aaina
'aks mera mujhi ko dikhata nahin
ho gaya mujh se kitna KHafa aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.