Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaq aafiyat-kanar kinare ko kar gai

Shafqat Tanveer Mirza

shaq aafiyat-kanar kinare ko kar gai

Shafqat Tanveer Mirza

MORE BYShafqat Tanveer Mirza

    shaq āfiyat-kanār kināre ko kar ga.ī

    dariyā mauj sar ko paTak kar guzar ga.ī

    tohmat sail sub.h ko uThne lagā ki shab

    dastak thī ek dar pe sadā dar-ba-dar ga.ī

    ġhārat-gar-e-sukūñ thiiñ navā-hā-e-ḳhūn-e-balb

    jañgal shaam shahr meñ aa.ī to Dar ga.ī

    rotā phiregā raat ke rastoñ pe māhtāb

    āġhosh-e-arz-ḳhāk to sūraj se bhar ga.ī

    ārām-e-jāñ thā ḳhvāb-e-sukūñ aañkh jab khulī

    sail-e-fanā utar gayā miTTī bikhar ga.ī

    nā-karda kāriyoñ pashemāniyāñ na pūchh

    umr-e-azīz DhūñDte phiriye kidhar ga.ī

    tere huzūr kaun nazrāna thā qubūl

    dil guhar bhī le ke mirī chashm-e-tar ga.ī

    dīvār-o-dar pe jin ke lahū boltā rahā

    mauj-e-fanā vo saare makāñ Dher kar ga.ī

    ḳhushbū-e-marg na Thikāna milā koī

    maiñ bhī ġhubār-e-rāh rahā vo jidhar ga.ī

    ab gosh-bar-sadā hue ham dosto to kyā

    āvāz duur thī samā.at-safar ga.ī

    shaq aafiyat-kanar kinare ko kar gai

    dariya ki mauj sar ko paTak kar guzar gai

    tohmat ka sail subh ko uThne laga ki shab

    dastak thi ek dar pe sada dar-ba-dar gai

    ghaarat-gar-e-sukun thin nawa-ha-e-KHun-e-balb

    jangal ki sham shahr mein aai to Dar gai

    rota phirega raat ke raston pe mahtab

    aaghosh-e-arz-KHak to suraj se bhar gai

    aaram-e-jaan tha KHwab-e-sukun aankh jab khuli

    sail-e-fana utar gaya miTTi bikhar gai

    na-karda kariyon ki pashemaniyan na puchh

    umr-e-aziz DhunDte phiriye kidhar gai

    tere huzur kaun sa nazrana tha qubul

    dil sa guhar bhi le ke meri chashm-e-tar gai

    diwar-o-dar pe jin ke lahu bolta raha

    mauj-e-fana wo sare makan Dher kar gai

    KHushbu-e-marg ka na Thikana mila koi

    main bhi ghubar-e-rah raha wo jidhar gai

    ab gosh-bar-sada hue hum dosto to kya

    aawaz dur ki thi samaat-safar gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now