Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shar ki baaton mein tamazat ka nishan ho ki na ho

Jafar Sahni

shar ki baaton mein tamazat ka nishan ho ki na ho

Jafar Sahni

MORE BYJafar Sahni

    Interesting Fact

    Jadeed Adab', Germany (January-June, 2010)

    shar bātoñ meñ tamāzat nishāñ ho ki na ho

    aag lagtī hai to siine meñ dhuāñ ho ki na ho

    shauq ko apne zarā tez-qadam rakhnā

    thāmne haath kabhī bād-e-ravāñ ho ki na ho

    sail ke ġhaiz se larzāñ hai tasavvur badan

    bahte paanī ke takallum se gumāñ ho ki na ho

    dil ke ḳhāne meñ kashish ḳhuub milī hai raushan

    us mahfil samāñ rashk-e-jināñ ho ki na ho

    dard-mandī fazā ham to kareñge qaa.em

    sehn-e-dil-dār liye aks-e-fuġhāñ ho ki na ho

    apnī palkoñ pe chalo aaj namī kuchh bhar leñ

    shabnamī husn meñ tar phir se jahāñ ho ki na ho

    mujh ko maujūd to har moḌ pe vo lagtā hai

    chāñd tāroñ nigārish se ayaañ ho ki na ho

    soch rahtī hai aqīdat se sharābor sadā

    narm lahje meñ duā vird-e-zabāñ ho ki na ho

    maiñ to mashkūk nahīñ us vafā se 'ja.afar'

    ek mauhūm ishāre meñ bhī haañ ho ki na ho

    shar ki baaton mein tamazat ka nishan ho ki na ho

    aag lagti hai to sine mein dhuan ho ki na ho

    shauq ko apne zara tez-qadam hi rakhna

    thamne hath kabhi baad-e-rawan ho ki na ho

    sail ke ghaiz se larzan hai tasawwur ka badan

    bahte pani ke takallum se guman ho ki na ho

    dil ke KHane mein kashish KHub mili hai raushan

    us ki mahfil ka saman rashk-e-jinan ho ki na ho

    dard-mandi ki faza hum to karenge qaem

    sehn-e-dil-dar liye aks-e-fughan ho ki na ho

    apni palkon pe chalo aaj nami kuchh bhar len

    shabnami husn mein tar phir se jahan ho ki na ho

    mujh ko maujud to har moD pe wo lagta hai

    chand taron ki nigarish se ayan ho ki na ho

    soch rahti hai aqidat se sharabor sada

    narm lahje mein dua wird-e-zaban ho ki na ho

    main to mashkuk nahin us ki wafa se 'jafar'

    ek mauhum ishaare mein bhi han ho ki na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now