aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo

Akhtar Ansari Akbarabadi

sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo

Akhtar Ansari Akbarabadi

MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi

    sharāb aa.e to kaif-o-asar baat karo

    piyo to bazm meñ fikr-o-nazar baat karo

    fasāna-e-ḳham-e-gesū meñ kaif kuchh bhī nahīñ

    nizām-e-ālam-e-zer-o-zabar baat karo

    chaman meñ daam bichhātā hai vaqt sayyād

    guloñ se hausla-e-bāl-o-par baat karo

    qabā-e-zohd pākīzgī to dekh chuke

    sharāb-ḳhāne meñ dāmān-e-tar baat karo

    kahāniyāñ shab-e-hijrāñ ho chukī haiñ tamām

    sahar tulūa huī hai sahar baat karo

    chaman chaman meñ udhar ho rahī hai had-bandī

    khulī fazā.eñ jidhar haiñ udhar baat karo

    guloñ zikr bahāroñ meñ kar chuke 'aḳhtar'

    ab aao hosh meñ barq-o-sharar baat karo

    sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo

    piyo to bazm mein fikr-o-nazar ki baat karo

    fasana-e-KHam-e-gesu mein kaif kuchh bhi nahin

    nizam-e-alam-e-zer-o-zabar ki baat karo

    chaman mein dam bichhata hai waqt ka sayyaad

    gulon se hausla-e-baal-o-par ki baat karo

    qaba-e-zohd ki pakizgi to dekh chuke

    sharab-KHane mein daman-e-tar ki baat karo

    kahaniyan shab-e-hijran ki ho chuki hain tamam

    sahar tulua hui hai sahar ki baat karo

    chaman chaman mein udhar ho rahi hai had-bandi

    khuli fazaen jidhar hain udhar ki baat karo

    gulon ka zikr bahaaron mein kar chuke 'aKHtar'

    ab aao hosh mein barq-o-sharar ki baat karo

    Source:

    Dil-e-ruswa (Pg. E-43 B-40)

    • Author: Akhtar Ansari Akbarabadi
      • Publisher: Halqa-e-Arbab, Karachi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now