Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab-e-shauq sen sarshaar hain hum

Wali Mohammad Wali

sharab-e-shauq sen sarshaar hain hum

Wali Mohammad Wali

MORE BYWali Mohammad Wali

    sharāb-e-shauq señ sarshār haiñ ham

    kabhū be-ḳhud kabhū hushiyār haiñ ham

    do-rañgī suuñ tirī ai sarv-e-ra.anā

    kabhū raazī kabhū bezār haiñ ham

    tire tasḳhīr karne meñ sirījan

    kabhī nādāñ kabhī ayyār haiñ ham

    sanam tere nayan aarzū meñ

    kabhū sālim kabhī bīmār haiñ ham

    'valī' vasl-o-judā.ī suuñ sajan

    kabhū sahrā kabhū gulzār haiñ ham

    sharab-e-shauq sen sarshaar hain hum

    kabhu be-KHud kabhu hushiyar hain hum

    do-rangi sun teri ai sarw-e-rana

    kabhu raazi kabhu bezar hain hum

    tere tasKHir karne mein sirijan

    kabhi nadan kabhi ayyar hain hum

    sanam tere nayan ki aarzu mein

    kabhu salim kabhi bimar hain hum

    'wali' wasl-o-judai sun sajan ki

    kabhu sahra kabhu gulzar hain hum

    Source:

    Kulliyat-e-Wali (Pg. 177)

    • Author: Wali Mohammad Wali
      • Edition: 1989
      • Publisher: Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now