sharāb pī kar diyā hai tum ne jo ham ko jām-e-sharāb aadhā
azal se likkhā huā thā shāyad ki paa.eñ ham tum savāb aadhā
gale lagā kar liyā thā bosa hue the raazī visāl par bhī
taḌap ne dil ko jagā diyā kyoñ abhī to dekhā thā ḳhvāb aadhā
falak se kah do sahar qarīñ hai ga.ī vo zulmat huī shab āḳhir
shafaq hinā le ke aap aa.e ki uḌ gayā hai ḳhizāb aadhā
yahāñ hai zoroñ pe nā-tavānī vahāñ nazākat se baat mushkil
na kis tarah ho savāl aadhā na kis tarah ho javāb aadhā
maiñ apnī ulfat kā haal likkhūñ bayān-e-husn-e-sanam ko paḌh kar
ishāra ye hai jo saada rakkhā varaq miyān-e-kitāb aadhā
chhupā liiñ hāthoñ se us ne āñkheñ ulaT jo dī hai naqāb ruḳh se
ruke na dast-e-havas kī shoḳhī rahe ye jab tak hijāb aadhā
tumhārī uThtī huī javānī jo dekh paa.ī shanāvarī meñ
vafūr-e-hairat se rah gayā hai ubhar ke har ik habāb aadhā
'hayāt' ġhaflat nahīñ munāsib butoñ kī taa.at ko chhoḌ do ab
zarā to chauñko chalī javānī guzar gayā hai shabāb aadhā
sharab pi kar diya hai tum ne jo hum ko jam-e-sharab aadha
azal se likkha hua tha shayad ki paen hum tum sawab aadha
gale laga kar liya tha bosa hue the raazi visal par bhi
taDap ne dil ko jaga diya kyon abhi to dekha tha KHwab aadha
falak se kah do sahar qarin hai gai wo zulmat hui shab aaKHir
shafaq hina le ke aap aae ki uD gaya hai KHizab aadha
yahan hai zoron pe na-tawani wahan nazakat se baat mushkil
na kis tarah ho sawal aadha na kis tarah ho jawab aadha
main apni ulfat ka haal likkhun bayan-e-husn-e-sanam ko paDh kar
ishaara ye hai jo sada rakkha waraq miyan-e-kitab aadha
chhupa lin hathon se us ne aankhen ulaT jo di hai naqab ruKH se
ruke na dast-e-hawas ki shoKHi rahe ye jab tak hijab aadha
tumhaari uThti hui jawani jo dekh pai shanawari mein
wafur-e-hairat se rah gaya hai ubhar ke har ek habab aadha
'hayat' ghaflat nahin munasib buton ki taat ko chhoD do ab
zara to chaunko chali jawani guzar gaya hai shabab aadha
Source:
Saz-e-Zindagi (Pg. 45)
-
Author:
Hayat Amrohvi
-
- Publisher: Shahzeb Raza Naqvi
- Year of Publication: 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.