Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharar-e-jaan se guzar gardish-e-lahu mein aa

Shees Mohammad Ismail Azmi

sharar-e-jaan se guzar gardish-e-lahu mein aa

Shees Mohammad Ismail Azmi

MORE BYShees Mohammad Ismail Azmi

    sharār-e-jāñ se guzar gardish-e-lahū meñ aa

    ab ai nigār-e-tamannā mire subū meñ aa

    mujhe pukār mirī bāz-gasht mānind

    mire ḳhamīr se uTh merī guftugū meñ aa

    tire liye to libās-e-ġhazal hai nā-kāfī

    qarār-e-jāñ kisī aur rañg-o-bū meñ aa

    maiñ tishna-lab huuñ sar-e-dasht-e-āgahī kab se

    sabīl hai to sahrā-e-justujū meñ aa

    tujhe to halqa-e-dānish-varāñ se kyā nisbat

    'āzmī' kisī tash.hīr-e-kū-ba-kū meñ aa

    sharar-e-jaan se guzar gardish-e-lahu mein aa

    ab ai nigar-e-tamanna mere subu mein aa

    mujhe pukar meri baz-gasht ki manind

    mere KHamir se uTh meri guftugu mein aa

    tere liye to libas-e-ghazal hai na-kafi

    qarar-e-jaan tu kisi aur rang-o-bu mein aa

    main tishna-lab hun sar-e-dasht-e-agahi kab se

    sabil tu hai to sahra-e-justuju mein aa

    tujhe to halqa-e-danish-waran se kya nisbat

    tu 'azmi' kisi tashhir-e-ku-ba-ku mein aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now