Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharara sifat sard aahon mein tha

Ghayur Jafari

sharara sifat sard aahon mein tha

Ghayur Jafari

MORE BYGhayur Jafari

    sharāra sifat sard aahoñ meñ thā

    mirā maiñ mirī apnī bāñhoñ meñ thā

    havāoñ se kyā nashr hotā ki jo

    sadāoñ sūrat nigāhoñ meñ thā

    vahāñ se uḌā aañkh meñ bhar gayā

    jahāñ-gard maiñ terī rāhoñ meñ thā

    kabhī soch lenā abas to nahīñ

    mazā dard jin karāhoñ meñ thā

    tire thartharāte laboñ ke nisār

    ajab ġhul samā.at-panāhoñ meñ thā

    mire jism ek hissa 'ġhayūr'

    sadā se lithḌā gunāhoñ meñ thā

    sharara sifat sard aahon mein tha

    mera main meri apni banhon mein tha

    hawaon se kya nashr hota ki jo

    sadaon ki surat nigahon mein tha

    wahan se uDa aankh mein bhar gaya

    jahan-gard main teri rahon mein tha

    kabhi soch lena abas to nahin

    maza dard ka jin karahon mein tha

    tere thartharaate labon ke nisar

    ajab ghul samaat-panahon mein tha

    mere jism ka ek hissa 'ghayur'

    sada hi se lithDa gunahon mein tha

    Source:

    Widrabh mein Jadeed Urdu Shairi: Ek Motala (Pg. 75)

      • Publisher: Mohammad Azhar Hayat
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now