Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai

Faiz Ahmad Faiz

sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    sharah-e-bedardi-e-hālāt na hone paa.ī

    ab ke bhī dil mudārāt na hone paa.ī

    phir vahī va.ada jo iqrār na banñe paayā

    phir vahī baat jo isbāt na hone paa.ī

    phir vo parvāne jinheñ izn-e-shahādat na milā

    phir vo sham.eñ ki jinheñ raat na hone paa.ī

    phir vahī jāñ-ba-labī lazzat-e-mai se pahle

    phir vo mahfil jo ḳharābāt na hone paa.ī

    phir dam-e-dīd rahe chashm o nazar dīd-talab

    phir shab-e-vasl mulāqāt na hone paa.ī

    phir vahāñ bāb-e-asar jāniye kab band huā

    phir yahāñ ḳhatm munājāt na hone paa.ī

    'faiz' sar par jo har ik roz qayāmat guzrī

    ek bhī roz mukāfāt na hone paa.ī

    sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai

    ab ke bhi dil ki mudaraat na hone pai

    phir wahi wada jo iqrar na banne paya

    phir wahi baat jo isbaat na hone pai

    phir wo parwane jinhen izn-e-shahadat na mila

    phir wo shamen ki jinhen raat na hone pai

    phir wahi jaan-ba-labi lazzat-e-mai se pahle

    phir wo mahfil jo KHarabaat na hone pai

    phir dam-e-did rahe chashm o nazar did-talab

    phir shab-e-wasl mulaqat na hone pai

    phir wahan bab-e-asar jaaniye kab band hua

    phir yahan KHatm munajat na hone pai

    'faiz' sar par jo har ek roz qayamat guzri

    ek bhi roz mukafat na hone pai

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 459)

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 457)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now