Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharh-e-dard-e-ashiqi karte hain hum

Syed Zameer Jafri

sharh-e-dard-e-ashiqi karte hain hum

Syed Zameer Jafri

MORE BYSyed Zameer Jafri

    sharh-e-dard-e-āshiqī karte haiñ ham

    zaḳhm saudā-garī karte haiñ ham

    dostoñ tum se koī shikva nahīñ

    dosto tum ko barī karte haiñ ham

    zindagī terī suhūlat ke liye

    kuchh irādoñ meñ kamī karte haiñ ham

    bujh rahī haiñ ghar dīvāreñ magar

    maqbaroñ par raushnī karte haiñ ham

    ek rasmī nek-chalnī ke liye

    kin gunāhoñ nafī karte haiñ ham

    ham ko sab rusvā.iyāñ manzūr haiñ

    ihtirām-e-ādmī karte haiñ ham

    sharh-e-dard-e-ashiqi karte hain hum

    zaKHm ki sauda-gari karte hain hum

    doston tum se koi shikwa nahin

    dosto tum ko bari karte hain hum

    zindagi teri suhulat ke liye

    kuchh iradon mein kami karte hain hum

    bujh rahi hain ghar ki diwaren magar

    maqbaron par raushni karte hain hum

    ek rasmi nek-chalni ke liye

    kin gunahon ki nafi karte hain hum

    hum ko sab ruswaiyan manzur hain

    ihtiram-e-admi karte hain hum

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 95)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now