Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharifon se rifaqat mein to ghaflat hum nahin karte

Rafeeq Anjum

sharifon se rifaqat mein to ghaflat hum nahin karte

Rafeeq Anjum

MORE BYRafeeq Anjum

    sharīfoñ se rifāqat meñ to ġhaflat ham nahīñ karte

    kisī kam-zarf se milne chāhat ham nahīñ karte

    kisī chāplūsī meñ jo din ko raat kahnā hai

    kabhī bhūle se bhī us himāyat ham nahīñ karte

    mohazzab daur meñ beToñ bikrī ḳhuub hotī hai

    koī kah de ye nā-jā.ez tijārat ham nahīñ karte

    husūl-e-manfa.at apnī nigāhoñ meñ muqaddam hai

    inhīñ vajhoñ se iz.hār-e-haqīqat ham nahīñ karte

    banī-nau-e-bashar manzilat sheva hamārā hai

    rivāyāt-e-buzurgāñ se baġhāvat ham nahīñ karte

    musalmāñ haiñ zamāne ko payām-e-amn dete haiñ

    jo dahshat-gard haiñ un vakālat ham nahīñ karte

    ġhalat-kārī jo anjām honā thā huā 'anjum'

    muqaddar ḳharābī shikāyat ham nahīñ karte

    sharifon se rifaqat mein to ghaflat hum nahin karte

    kisi kam-zarf se milne ki chahat hum nahin karte

    kisi ki chaplusi mein jo din ko raat kahna hai

    kabhi bhule se bhi us ki himayat hum nahin karte

    mohazzab daur mein beTon ki bikri KHub hoti hai

    koi kah de ye na-jaez tijarat hum nahin karte

    husul-e-manfat apni nigahon mein muqaddam hai

    inhin wajhon se izhaar-e-haqiqat hum nahin karte

    bani-nau-e-bashar ki manzilat shewa hamara hai

    riwayat-e-buzurgan se baghawat hum nahin karte

    musalman hain zamane ko payam-e-amn dete hain

    jo dahshat-gard hain un ki wakalat hum nahin karte

    ghalat-kari ka jo anjam hona tha hua 'anjum'

    muqaddar ki KHarabi ki shikayat hum nahin karte

    Source:

    Sahil Bolta Hai (Pg. 118)

    • Author: Rafeeq Anjum
      • Publisher: Rafeeq Anjum
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now