Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharik-e-haal jab nakaami-e-tadbir hoti hai

Zafar Akbarabadi

sharik-e-haal jab nakaami-e-tadbir hoti hai

Zafar Akbarabadi

MORE BYZafar Akbarabadi

    sharīk-e-hāl jab nākāmī-e-tadbīr hotī hai

    to phir vahshat-asar har ḳhvāb ta.abīr hotī hai

    usī ko sirf jabr-e-zīst hotā hai andāza

    ki jis ke paañv meñ hālāt zanjīr hotī hai

    ġharaz se dast-bardārī hai me.arāj ādamiyyat

    isī ehsās se kirdār ta.amīr hotī hai

    maiñ us ko bhuul jaane irāda jab bhī kartā huuñ

    to yaad us baḌī shiddat se dāman-gīr hotī hai

    zarūrī hai 'zafar' ḳhūn-e-jigar rang-āmezī

    baġhair is ke mukammal kab koī tasvīr hotī hai

    sharik-e-haal jab nakaami-e-tadbir hoti hai

    to phir wahshat-asar har KHwab ki tabir hoti hai

    usi ko sirf jabr-e-zist ka hota hai andaza

    ki jis ke panw mein haalat ki zanjir hoti hai

    gharaz se dast-bardari hai mearaj aadamiyyat ki

    isi ehsas se kirdar ki tamir hoti hai

    main us ko bhul jaane ka irada jab bhi karta hun

    to yaad us ki baDi shiddat se daman-gir hoti hai

    zaruri hai 'zafar' KHun-e-jigar ki rang-amezi

    baghair is ke mukammal kab koi taswir hoti hai

    Source:

    Khushbu-e-Qaba (Pg. 105)

    • Author: Zafar Akbarabadi
      • Publisher: I.N.S. Media Selles Pvt Ltd.
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now