Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharir teri tarah aankh bhi teri hogi

Waseem Khairabadi

sharir teri tarah aankh bhi teri hogi

Waseem Khairabadi

MORE BYWaseem Khairabadi

    sharīr terī tarah aañkh bhī tirī hogī

    uThā.ī hogī qayāmat bhī jab uThī hogī

    fishār-e-gor se vo bhī to pis ga.ī hogī

    jo dil meñ koī tamannā rahī-sahī hogī

    bharā hai ḳhuub rindoñ ne us ko ai vaa.iz

    isī se duḳhtar-e-raz aap se khiñchī hogī

    sharāb aa ke to shīshe meñ ban ga.ī hai parī

    jo aa.ī hogī ye dil meñ to kyā banī hogī

    sharāb surḳh hogī siyāh botal meñ

    asiir qila-e-āhan meñ ye parī hogī

    sharāb ke sar-e-arsh aap pahuñcheñge

    'vasīm' shaiḳh ko me.arāj-e-be-ḳhudī hogī

    sharir teri tarah aankh bhi teri hogi

    uThai hogi qayamat bhi jab uThi hogi

    fishaar-e-gor se wo bhi to pis gai hogi

    jo dil mein koi tamanna rahi-sahi hogi

    bhara hai KHub hi rindon ne us ko ai waiz

    isi se duKHtar-e-raz aap se khinchi hogi

    sharab aa ke to shishe mein ban gai hai pari

    jo aai hogi ye dil mein to kya bani hogi

    sharab surKH si hogi siyah botal mein

    asir qila-e-ahan mein ye pari hogi

    sharab pi ke sar-e-arsh aap pahunchenge

    'wasim' shaiKH ko mearaj-e-be-KHudi hogi

    Source:

    Aqa-e-sukhan waseem Khairabadi hayat aur karname (Pg. 234)

    • Author: Waseem Khairabadi
      • Edition: 2012
      • Publisher: Farid Bilgrami, Bilgrami Building Miyan Sarai Khairabad sitapur
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now