Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharm-alud kahin dida-e-ghammaz na ho

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

sharm-alud kahin dida-e-ghammaz na ho

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

MORE BYPandit Jagmohan Nath Raina Shauq

    sharm-ālūd kahīñ dīda-e-ġhammāz na ho

    dilbarī koī pahlū nazar-andāz na ho

    duur se dard-bharī ek sadā aatī hai

    mere TuuTe hue dil kahīñ āvāz na ho

    lazzat-e-dard mahjūr sahārā kyuuñ leñ

    lutf-e-tanhā.ī to jab hai koī dam-sāz na ho

    shukr sad shukr ki ai shauq mirā tā.ir-e-dil

    bāl-o-par hote hue mā.il-e-parvāz na ho

    muntazir bazm hai aa jaa.eñ ba-sad ishva-e-nāz

    shart ye hai ki nigāh-e-ġhalat-andāz na ho

    ye bhī kyā daur hai nairañgī-e-ālam terā

    murġh-e-āsūda chaman zamzama-parvāz na ho

    kasrat-e-jalva meñ gum hai dil-e-hañgāma-faroz

    be-ḳhudī kahtī hai merā koī hamrāz na ho

    sar-e-maqtal koī is shaan se aa.e ai 'shauq'

    lab pe e'jāz na ho chashm fusūñ-sāz na ho

    sharm-alud kahin dida-e-ghammaz na ho

    dilbari ka koi pahlu nazar-andaz na ho

    dur se dard-bhari ek sada aati hai

    mere TuTe hue dil ki kahin aawaz na ho

    lazzat-e-dard ka mahjur sahaara kyun len

    lutf-e-tanhai to jab hai koi dam-saz na ho

    shukr sad shukr ki ai shauq mera tair-e-dil

    baal-o-par hote hue mail-e-parwaz na ho

    muntazir bazm hai aa jaen ba-sad ishwa-e-naz

    shart ye hai ki nigah-e-ghalat-andaz na ho

    ye bhi kya daur hai nairangi-e-alam tera

    murgh-e-asuda chaman zamzama-parwaz na ho

    kasrat-e-jalwa mein gum hai dil-e-hangama-faroz

    be-KHudi kahti hai mera koi hamraaz na ho

    sar-e-maqtal koi is shan se aae ai 'shauq'

    lab pe e'jaz na ho chashm fusun-saz na ho

    Source:

    Payam-e-Shauq (Pg. 161)

    • Author: Jagmohan Nath Reena Shauq
      • Publisher: Nizami Press, Badaun
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now