Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharminda nahin kaun teri ishwa-gari ka

Raza Azimabadi

sharminda nahin kaun teri ishwa-gari ka

Raza Azimabadi

MORE BYRaza Azimabadi

    sharminda nahīñ kaun tirī ishva-garī

    be-vaj.h nahīñ muñh chhupānā hai parī

    jo lab ko tire dekh ke behosh na hove

    da.avā usī ko bhātā hai sāhab-jigarī

    tum dil meñ palte rahe ho sīkhā kahāñ se

    ai ashk ye sheva jo liyā parda-darī

    jis tarah sune mujh se kahe yaar se kar

    ye Dhab kisī ko aatā hai paiġhāmbarī

    patthar se hoñ dil yak-nigah-e-garm meñ paanī

    hai ishq se ījād hunar shīshagarī

    chal ā.ina-ḳhāne meñ ki hai zor-e-tamāshā

    jis tarf nazar kījiye aalam hai parī

    afsos shab-e-hijr shaam aate mar ga.e

    kyā kyā thā bharosa hameñ āh-e-saharī

    kar qatl mujhe shauq se badnāmī se mat Dar

    dastūr nahīñ kushte pe yaañ nauhagarī

    hairān huuñ aa.ī na nazar meñ kamar us

    da.avā thā mujhe apnī 'razā' dīda-varī

    sharminda nahin kaun teri ishwa-gari ka

    be-wajh nahin munh ka chhupana hai pari ka

    jo lab ko tere dekh ke behosh na howe

    dawa usi ko bhata hai sahab-jigari ka

    tum dil hi mein palte rahe ho sikha kahan se

    ai ashk ye shewa jo liya parda-dari ka

    jis tarah sune mujh se kahe yar se ja kar

    ye Dhab kisi ko aata hai paighambari ka

    patthar se hon dil yak-nigah-e-garm mein pani

    hai ishq se ijad hunar shishagari ka

    chal aaina-KHane mein ki hai zor-e-tamasha

    jis tarf nazar kijiye aalam hai pari ka

    afsos shab-e-hijr ki sham aate hi mar gae

    kya kya tha bharosa hamein aah-e-sahari ka

    kar qatl mujhe shauq se badnami se mat Dar

    dastur nahin kushte pe yan nauhagari ka

    hairan hun aai na nazar mein kamar us ki

    dawa tha mujhe apni 'raza' dida-wari ka

    Source:

    Deewan-e-Raza Azeemabadi (Pg. ebook-37 page-15)

    • Author: Qazi Abdul Wadood
      • Edition: 1956
      • Publisher: Idara-e-Tahqiqat-e-Urdu, Patna
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now