Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shart-e-diwar-o-dar-o-baam uTha di hai to kya

Arshad Abdul Hamid

shart-e-diwar-o-dar-o-baam uTha di hai to kya

Arshad Abdul Hamid

MORE BYArshad Abdul Hamid

    shart-e-dīvār-o-dar-o-bām uThā hai to kyā

    qaid phir qaid hai zanjīr baḌhā hai to kyā

    ab bhī tan teġh se laḌ jaa.e to chhan boltā hai

    vaqt ne is pe agar dhuul jamā hai to kyā

    mere ḳhusrav ne mujhe ġham bhī ziyāda baḳhshā

    daulat-e-ishq agar mujh ko sivā hai to kyā

    ham bhī tayyār haiñ phir jaan luTāne ke liye

    sāmne phir vahī kuufa vahī vaadī hai to kyā

    mujrim-e-dil ko kahāñ faisla sunñe dimāġh

    us ne baḳhshā hai to kyā aur sazā hai to kyā

    shart-e-diwar-o-dar-o-baam uTha di hai to kya

    qaid phir qaid hai zanjir baDha di hai to kya

    ab bhi tan tegh se laD jae to chhan bolta hai

    waqt ne is pe agar dhul jama di hai to kya

    mere KHusraw ne mujhe gham bhi ziyaada baKHsha

    daulat-e-ishq agar mujh ko siwa di hai to kya

    hum bhi tayyar hain phir jaan luTane ke liye

    samne phir wahi kufa wahi wadi hai to kya

    mujrim-e-dil ko kahan faisla sunne ka dimagh

    us ne baKHsha hai to kya aur saza di hai to kya

    Source:

    Ghazal Ke Rang (Pg. 47)

    • Author: Akram Naqqash, Sohil Akhtar
      • Edition: 2014
      • Publisher: Aflaak Publications, Gulbarga
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now