shauq-e-awargi ajab shai hai
shauq-e-āvārgī 'ajab shai hai
raat bhī sar-phirī 'ajab shai hai
be-lahū baat hī nahīñ bantī
ye mirā 'ishq bhī 'ajab shai hai
kyoñ kisī ko sirā nahīñ miltā
kis qadar zindagī 'ajab shai hai
kyā fanā kyā baqā nahīñ mā'lūm
ye mirī be-ḳhudī 'ajab shai hai
mere har lafz meñ hai gum-shudagī
ye mirī shā'irī 'ajab shai hai
shauq-e-awargi 'ajab shai hai
raat bhi sar-phiri 'ajab shai hai
be-lahu baat hi nahin banti
ye mera 'ishq bhi 'ajab shai hai
kyon kisi ko sira nahin milta
kis qadar zindagi 'ajab shai hai
kya fana kya baqa nahin ma'lum
ye meri be-KHudi 'ajab shai hai
mere har lafz mein hai gum-shudagi
ye meri sha'iri 'ajab shai hai
- Book : Ishq (Pg. 68)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.