Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq-e-baqa ka aapne kitna hasin sila diya

Abdul Mannan Tarzi

shauq-e-baqa ka aapne kitna hasin sila diya

Abdul Mannan Tarzi

MORE BYAbdul Mannan Tarzi

    shauq-e-baqā aap ne kitnā hasīñ sila diyā

    ḳhaak se banā thā maiñ ḳhaak meñ phir milā diyā

    chashm-e-karishma saaz ye bhī hai ik ḳhusūsiyat

    chāhā jise banā diyā chāhā jise miTā diyā

    mujh se agar huī thī bhuul aap ne kyoñ kiyā qusūr

    kyoñ merā haal dekh kar bazm meñ muskurā diyā

    aañkh ko de ke zauq-e-rañg ḳhud huā rañg se pare

    sho.abada-e-girya ne ḳhuub diid hausla diyā

    'tarzī' abhī to ye fuġhāñ ban rahī hai dāstāñ

    dil meñ thā raaz ik nihāñ sher koī sunā diyā

    shauq-e-baqa ka aap ne kitna hasin sila diya

    KHak hi se bana tha main KHak mein phir mila diya

    chashm-e-karishma saz ki ye bhi hai ek KHususiyat

    chaha jise bana diya chaha jise miTa diya

    mujh se agar hui thi bhul aap ne kyon kiya qusur

    kyon mera haal dekh kar bazm mein muskura diya

    aankh ko de ke zauq-e-rang KHud hua rang se pare

    shoabada-e-girya tu ne KHub did ka hausla diya

    'tarzi' abhi to ye fughan ban hi rahi hai dastan

    dil mein tha raaz ek nihan sher koi suna diya

    Source:

    (Pg. 89)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now