shauq hai usko KHud-numai ka
shauq hai us ko ḳhud-numā.ī kā
ab ḳhudā hāfiz is ḳhudā.ī kā
hañsī aatī hai apne rone par
aur ronā hai jag-hañsā.ī kā
aur to ham ko kuchh nahīñ aatā
kaam karte haiñ āshnā.ī kā
dil tirā saaf ho nahīñ saktā
hech hai mahkama safā.ī kā
but-kade kī jo sair kī ham ne
kār-ḳhāna hai ik ḳhudā.ī kā
garche pahuñchā huuñ maiñ kahīñ se kahīñ
marhala duur hai rasā.ī kā
na rahā lutf is zamāne meñ
mīrzā 'dāġh' mīrzā.ī kā
shauq hai us ko KHud-numai ka
ab KHuda hafiz is KHudai ka
hansi aati hai apne rone par
aur rona hai jag-hansai ka
aur to hum ko kuchh nahin aata
kaam karte hain aashnai ka
dil tera saf ho nahin sakta
hech hai mahkama safai ka
but-kade ki jo sair ki hum ne
kar-KHana hai ek KHudai ka
garche pahuncha hun main kahin se kahin
marhala dur hai rasai ka
na raha lutf is zamane mein
mirza 'dagh' mirzai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.