Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sher kahne ka maza hai ab to

Gopal Mittal

sher kahne ka maza hai ab to

Gopal Mittal

MORE BYGopal Mittal

    sher kahne maza hai ab to

    dil har zaḳhm harā hai ab to

    itnā be-sarfa na thā dil lahū

    baaġh dāman pe khilā hai ab to

    bujh jaa.e na kahīñ dil charāġh

    vāqa.ī tund havā hai ab to

    zindagī zindagī hotī thī kabhī

    mar na jaane sazā hai ab to

    thā koī shaḳhs kabhī mahram-e-dil

    vo mujhe bhuul chukā hai ab to

    ḳhūgar-e-shahr hue dīvāne

    chāk-e-dāman bhī siyā hai ab to

    dil ye haal hamesha to na thā

    jaane kyā mujh ko huā hai ab to

    sher kahne ka maza hai ab to

    dil ka har zaKHm hara hai ab to

    itna be-sarfa na tha dil ka lahu

    bagh daman pe khila hai ab to

    bujh hi jae na kahin dil ka charagh

    waqai tund hawa hai ab to

    zindagi zindagi hoti thi kabhi

    mar na jaane ki saza hai ab to

    tha koi shaKHs kabhi mahram-e-dil

    wo mujhe bhul chuka hai ab to

    KHugar-e-shahr hue diwane

    chaak-e-daman bhi siya hai ab to

    dil ka ye haal hamesha to na tha

    jaane kya mujh ko hua hai ab to

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 284)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now