sher mere kahan the kisi ke liye
sher mere kahāñ the kisī ke liye
maiñ ne sab kuchh likhā hai tumhāre liye
apne dukh sukh bahut ḳhūb-sūrat rahe
ham jiye bhī to ik dūsre ke liye
ham-safar ne mirā saath chhoḌā nahīñ
apne aañsū diye rāste ke liye
is havelī meñ ab koī rahtā nahīñ
chāñd niklā kise dekhne ke liye
zindagī aur maiñ do alag to nahīñ
maiñ ne sab phuul kāñTe isī se liye
shahr meñ ab mirā koī dushman nahīñ
sab ko apnā liyā maiñ ne tere liye
zehn meñ titliyāñ uḌ rahī haiñ bahut
koī dhāga nahīñ bāñdhne ke liye
ek tasvīr ġhazloñ meñ aisī banī
agle pichhle zamānoñ ke chehre liye
sher mere kahan the kisi ke liye
main ne sab kuchh likha hai tumhaare liye
apne dukh sukh bahut KHub-surat rahe
hum jiye bhi to ek dusre ke liye
ham-safar ne mera sath chhoDa nahin
apne aansu diye raste ke liye
is haweli mein ab koi rahta nahin
chand nikla kise dekhne ke liye
zindagi aur main do alag to nahin
main ne sab phul kanTe isi se liye
shahr mein ab mera koi dushman nahin
sab ko apna liya main ne tere liye
zehn mein titliyan uD rahi hain bahut
koi dhaga nahin bandhne ke liye
ek taswir ghazlon mein aisi bani
agle pichhle zamanon ke chehre liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.