Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui

Tufail Bismil

shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui

Tufail Bismil

MORE BYTufail Bismil

    shiddat-e-iz.hār-e-mazmūñ se hai ghabrā.ī huī

    terī be-unvāñ kahānī lab pe sharmā.ī huī

    maiñ sarāpā jurm jannat se nikālā to gayā

    Darte Darte pūchhtā huuñ kis rusvā.ī huī

    ek sannāTā hai dil meñ ik tasavvur aap

    ik qayāmat par qayāmat dūsrī aa.ī huī

    imtiyāz-e-sūrat-o-ma.anī ke parde chaak haiñ

    tire chehre pe mastī ghaTā chhā.ī huī

    aarzū fitne jagā.e dil meñ thī ab hai magar

    is qayāmat ke jahāñ ko niind aa.ī huī

    husn harjā.ī hai 'bismil' ishq lazzat ga.ī

    andalīb-e-vaqt har ik gul shaidā.ī huī

    shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui

    teri be-unwan kahani lab pe sharmai hui

    main sarapa jurm jannat se nikala to gaya

    Darte Darte puchhta hun kis ki ruswai hui

    ek sannaTa hai dil mein ek tasawwur aap ka

    ek qayamat par qayamat dusri aai hui

    imtiyaz-e-surat-o-mani ke parde chaak hain

    ya tere chehre pe masti ki ghaTa chhai hui

    aarzu fitne jagae dil mein thi ab hai magar

    is qayamat ke jahan ko nind si aai hui

    husn harjai hai 'bismil' ishq ki lazzat gai

    andalib-e-waqt har ek gul ki shaidai hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now