Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shiddat-e-jazb mein jab aalam-e-hu bolta hai

Syed Ahmed Shameem

shiddat-e-jazb mein jab aalam-e-hu bolta hai

Syed Ahmed Shameem

MORE BYSyed Ahmed Shameem

    shiddat-e-jazb meñ jab ālam-e-hū boltā hai

    mai-e-gul-rañg chhalaktī hai subū boltā hai

    dil ā.īna khulā ho to sukūt-e-shab meñ

    maiñ bayāñ kartā huuñ ḳhud ko kabhī boltā hai

    jagmagā uThtā hai dam-bhar meñ chaman-zār-e-ḳhayāl

    chāñd pahlū meñ utar kar lab-e-jū boltā hai

    mausam-e-barf meñ har raat guzartī hai magar

    gāhe-gāhe sahī ḳhvābīda lahū boltā hai

    kyuuñ darīda hai badan kyā kahūñ kis se bolūñ

    maiñ kahūñ na kahūñ tār-e-rafū boltā hai

    dast-e-qātil hunar laakh chhupā.e lekin

    āb-e-ḳhanjar na sahī zaḳhm-e-gulū boltā hai

    lazzat-e-sajda atā hone se pahle 'shamīm'

    har bun-e-mū se mirā āb-e-vuzū boltā hai

    shiddat-e-jazb mein jab aalam-e-hu bolta hai

    mai-e-gul-rang chhalakti hai subu bolta hai

    dil ka aaina khula ho to sukut-e-shab mein

    main bayan karta hun KHud ko kabhi tu bolta hai

    jagmaga uThta hai dam-bhar mein chaman-zar-e-KHayal

    chand pahlu mein utar kar lab-e-ju bolta hai

    mausam-e-barf mein har raat guzarti hai magar

    gahe-gahe sahi KHwabida lahu bolta hai

    kyun darida hai badan kya kahun kis se bolun

    main kahun ya na kahun tar-e-rafu bolta hai

    dast-e-qatil ka hunar lakh chhupae lekin

    aab-e-KHanjar na sahi zaKHm-e-gulu bolta hai

    lazzat-e-sajda ata hone se pahle hi 'shamim'

    har bun-e-mu se mera aab-e-wuzu bolta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now